aap se arz-e-haal karte hain
aap se arz-e-hāl karte haiñ
vāqa.ī ham kamāl karte haiñ
aa.ina dil kā TuuT jaatā hai
laakh ham dekh-bhāl karte haiñ
usī zālim se hai umīd-e-vafā
apne dil se savāl karte haiñ
aap ke harf-e-talḳh bhī aksar
zaḳhm kā indimāl karte haiñ
zikr hotā hai jab hasīnoñ kā
pesh terī misāl karte haiñ
ham to aadī haiñ ġham uThāne ke
aap yūñhī ḳhayāl karte haiñ
tere andāz-e-bevafā.ī bhī
duur dil kā malāl karte haiñ
un kī mahfil meñ jo guzāre the
yaad vo māh-o-sāl karte haiñ
ham ne kī hai na ham kabhī ai 'soz'
ārzū-e-visāl karte haiñ
aap se arz-e-haal karte hain
waqai hum kamal karte hain
aaina dil ka TuT jata hai
lakh hum dekh-bhaal karte hain
usi zalim se hai umid-e-wafa
apne dil se sawal karte hain
aap ke harf-e-talKH bhi aksar
zaKHm ka indimal karte hain
zikr hota hai jab hasinon ka
pesh teri misal karte hain
hum to aadi hain gham uThane ke
aap yunhi KHayal karte hain
tere andaz-e-bewafai bhi
dur dil ka malal karte hain
un ki mahfil mein jo guzare the
yaad wo mah-o-sal karte hain
hum ne ki hai na hum kabhi ai 'soz'
aarzu-e-visal karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.