aap se kya dosti hone lagi
aap se kyā dostī hone lagī
apne dil se dushmanī hone lagī
phir hasīnoñ kī taraf maa.il hai dil
maut se phir dil-lagī hone lagī
muskurā.ī merī tauba par bahār
pārsā.ī kī hañsī hone lagī
tum na the to dil ko ik taskīn thī
tum jo aa.e be-kalī hone lagī
har ḳhushī meñ ġham kā ik pahlū milā
har na.e ġham se ḳhushī hone lagī
sun ke 'sāhir' kī ġhazal us ne kahā
shā.irī jādūgarī hone lagī
aap se kya dosti hone lagi
apne dil se dushmani hone lagi
phir hasinon ki taraf mail hai dil
maut se phir dil-lagi hone lagi
muskurai meri tauba par bahaar
parsai ki hansi hone lagi
tum na the to dil ko ek taskin thi
tum jo aae be-kali hone lagi
har KHushi mein gham ka ek pahlu mila
har nae gham se KHushi hone lagi
sun ke 'sahir' ki ghazal us ne kaha
shairi jadugari hone lagi
- Book : Anoop Jalota ki Ghazalen (Pg. 56)
- Author : Anoop Jalota
- Publication : Daimond Pocket Books, Daryaganj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.