aap se rasm-o-rah Thahri hai
aap se rasm-o-rāh Thahrī hai
kis pe jā kar nigāh Thahrī hai
nāravā hai ravā bajā bejā
be-gunāhī gunāh Thahrī hai
dekhiye intiḳhāb kis kā ho
ham pe aa kar nigāh Thahrī hai
kaj-kulāhī pe naaz karte ho
kis ke sar par kulāh Thahrī hai
ishq kī manzil-e-junūñ 'manzar'
husn kī qibla-gāh Thahrī hai
aap se rasm-o-rah Thahri hai
kis pe ja kar nigah Thahri hai
narawa hai rawa baja beja
be-gunahi gunah Thahri hai
dekhiye intiKHab kis ka ho
hum pe aa kar nigah Thahri hai
kaj-kulahi pe naz karte ho
kis ke sar par kulah Thahri hai
ishq ki manzil-e-junun 'manzar'
husn ki qibla-gah Thahri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.