aap se shikwa-e-bedad karun ya na karun
aap se shikwa-e-bedad karun ya na karun
Azmat Abdul Qayyum Khan
MORE BYAzmat Abdul Qayyum Khan
aap se shikva-e-bedād karūñ yā na karūñ
shauq-e-pāband ko āzād karūñ yā na karūñ
aap haiñ vaqt hai fursat hai zarā ye kah do
ab bayāñ ishq kī rūdād karūñ yā na karūñ
ai ġham-e-hijr batā ai dil-e-māyūs batā
mātam-e-hasrat-e-nāshād karūñ yā na karūñ
yuuñ to ab kuchh bhī nahīñ dīda-e-vīrāñ ko magar
chand ḳhvāboñ se bhī ābād karūñ yā na karūñ
merī qismat meñ sahī dard-o-alam kī rāheñ
shādmānī ko kahīñ yaad karūñ yā na karūñ
aaj mausam ne koī mast ġhazal chheḌī hai
zabt ko mā.il-e-fariyād karūñ yā na karūñ
zindagī ishq meñ miTnā hai to phir aise meñ
naaz tujh pe dil-e-barbād karūñ yā na karūñ
inqilābāt meñ tūfān-e-sitam meñ azmat
shān-e-altāf-o-karam yaad karūñ yā na karūñ
aap se shikwa-e-bedad karun ya na karun
shauq-e-paband ko aazad karun ya na karun
aap hain waqt hai fursat hai zara ye kah do
ab bayan ishq ki rudad karun ya na karun
ai gham-e-hijr bata ai dil-e-mayus bata
matam-e-hasrat-e-nashad karun ya na karun
yun to ab kuchh bhi nahin dida-e-viran ko magar
chand KHwabon se bhi aabaad karun ya na karun
meri qismat mein sahi dard-o-alam ki rahen
shadmani ko kahin yaad karun ya na karun
aaj mausam ne koi mast ghazal chheDi hai
zabt ko mail-e-fariyaad karun ya na karun
zindagi ishq mein miTna hai to phir aise mein
naz tujh pe dil-e-barbaad karun ya na karun
inqilabaat mein tufan-e-sitam mein azmat
shan-e-altaf-o-karam yaad karun ya na karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.