aap se shikwa-e-bedad nahin karte hum
aap se shikva-e-bedād nahīñ karte ham
hoñT sī lete haiñ fariyād nahīñ karte ham
muzhda-e-zauq-e-asīrī ki vo farmāte haiñ
qaid-e-ġham se tujhe āzād nahīñ karte ham
muskurā dete haiñ jab koī balā aatī hai
kisī sūrat ġham-e-uftād nahīñ karte ham
ḳhuub parda hai ye zāhir kā gumāñ hai un ko
ḳhvāhish-e-husn-e-ḳhudā-dād nahīñ karte ham
dil meñ baaqī hai abhī hausla-e-sabr-o-qarār
hasrat-e-tesha-e-farhād nahīñ karte ham
kyā ḳhabar kaun sī manzil pe mohabbat pahuñchī
ab ye aalam hai tujhe yaad nahīñ karte ham
apnī uftād-o-tabī.at hī kuchh aisī hai 'nazīr'
kabhī andesha-e-uftād nahīñ karte ham
aap se shikwa-e-bedad nahin karte hum
honT si lete hain fariyaad nahin karte hum
muzhda-e-zauq-e-asiri ki wo farmate hain
qaid-e-gham se tujhe aazad nahin karte hum
muskura dete hain jab koi bala aati hai
kisi surat gham-e-uftad nahin karte hum
KHub parda hai ye zahir ka guman hai un ko
KHwahish-e-husn-e-KHuda-dad nahin karte hum
dil mein baqi hai abhi hausla-e-sabr-o-qarar
hasrat-e-tesha-e-farhad nahin karte hum
kya KHabar kaun si manzil pe mohabbat pahunchi
ab ye aalam hai tujhe yaad nahin karte hum
apni uftad-o-tabiat hi kuchh aisi hai 'nazir'
kabhi andesha-e-uftad nahin karte hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.