aaraish-e-chand pal rahi thi
ārā.ish-e-chand pal rahī thī
poshāk-e-yād gal rahī thī
chaukhaT se dast-e-ārzū tak
barfīlī aag jal rahī thī
tharrāte goshvāre kī lau
lashkāre se bahal rahī thī
tāroñ kī raakh sar pe oḌhe
hijrat ghar se nikal rahī thī
hāthoñ kī adh-khilī kahānī
hoñToñ par phūl-phal rahī thī
vo mausam giit kā nahīñ thā
Tahnī zevar badal rahī thī
peḌoñ kī raakh se pare tak
jismoñ kī jot jal rahī thī
aaraish-e-chand pal rahi thi
poshak-e-yaad gal rahi thi
chaukhaT se dast-e-arzu tak
barfili aag jal rahi thi
tharraate goshware ki lau
lashkare se bahal rahi thi
taron ki rakh sar pe oDhe
hijrat ghar se nikal rahi thi
hathon ki adh-khili kahani
honTon par phul-phal rahi thi
wo mausam git ka nahin tha
Tahni zewar badal rahi thi
peDon ki rakh se pare tak
jismon ki jot jal rahi thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.