aarif hai wo jo husn ka juya jahan mein hai
aarif hai vo jo husn kā juuyā jahāñ meñ hai
bāhar nahīñ hai yūsuf isī kārvāñ meñ hai
piirī meñ shuġhl-e-mai hai javānanā roz-o-shab
bū-e-bahār aatī hamārī ḳhizāñ meñ hai
hotā hai gul ke sūñghe se duunā girafta dil
mujh sā bhī bad-dimāġh kam is bostāñ meñ hai
pusht-e-ḳhamīda dekh ke hotā huuñ na.ara-zan
kartā huuñ sarf-e-tīr jo zor is kamāñ meñ hai
dikhlā rahī hai dil kī safā do-jahāñ kī sair
kyā ā.īna lagā huā apne makāñ meñ hai
dīvāna jo na ishq se ho aadmī nahīñ
husn-e-parī kā jalva tilism-e-jahāñ meñ hai
parvānoñ kī tarah hai hujūm-e-qadah-kashāñ
raushan charāġh-e-bāda jo muġh kī dukāñ meñ hai
us dilrubā ke kūche meñ aage havā se jaa.e
itnī to jaan ab bhī tan-e-nā-tavāñ meñ hai
duniyā se kuuch karnā hai ik roz rahravo
bāñg-e-jaras se shor yahī kārvāñ meñ hai
paḌh saktā sarnavisht kā matlab koī nahīñ
ma.alūm kuchh nahīñ ki ye ḳhat kis zabāñ meñ hai
ā.inda-o-raviñda kī chaltī haiñ Thokareñ
jaada jo apnā thā usī ḳhvāb-e-girāñ meñ hai
kushte haiñ baaġh meñ bhī tirī teġh-e-nāz ke
bū-e-shahīd laala meñ aur arġhavāñ meñ hai
āshiq ke rañg-e-zard ko dekho to hañs paḌo
tāsīr us meñ bhī hai vo jo za.afarāñ meñ hai
ma.adūm vo kamar hai na mauhūm vo dahan
kahte haiñ shā.er un ke jo kuchh kuchh gumāñ meñ hai
gul TūTte haiñ hote haiñ bulbul asīr-e-dām
sayyād musta.id madad-e-bāġhbāñ meñ hai
sarkash kī manzilat hai subuk pesh-e-ḳhāksār
vo tamkanat zamīñ kī kahāñ āsmāñ meñ hai
sumbul se hāl-e-gul huuñ maiñ ye kah ke pūchhtā
kis silsile meñ tū hai ye kis ḳhāndāñ meñ hai
dil meñ ḳhayāl-e-gesu-e-mushkīñ hai bad balā
ye murġh-e-rūh ke liye saañp āshiyāñ meñ hai
hikmat se hai ye ḳhaak kā putlā banā huā
nuur aañkh meñ hai us ke to maġhz ustuḳhāñ meñ hai
'ātish' buland-pāya hai dargāh yaar kī
haftum falak kī rif.at isī āstāñ meñ hai
aarif hai wo jo husn ka juya jahan mein hai
bahar nahin hai yusuf isi karwan mein hai
piri mein shughl-e-mai hai jawanana roz-o-shab
bu-e-bahaar aati hamari KHizan mein hai
hota hai gul ke sunghe se duna girafta dil
mujh sa bhi bad-dimagh kam is bostan mein hai
pusht-e-KHamida dekh ke hota hun nara-zan
karta hun sarf-e-tir jo zor is kaman mein hai
dikhla rahi hai dil ki safa do-jahan ki sair
kya aaina laga hua apne makan mein hai
diwana jo na ishq se ho aadmi nahin
husn-e-pari ka jalwa tilism-e-jahan mein hai
parwanon ki tarah hai hujum-e-qadah-kashan
raushan charagh-e-baada jo mugh ki dukan mein hai
us dilruba ke kuche mein aage hawa se jae
itni to jaan ab bhi tan-e-na-tawan mein hai
duniya se kuch karna hai ek roz rahrawo
bang-e-jaras se shor yahi karwan mein hai
paDh sakta sarnawisht ka matlab koi nahin
malum kuchh nahin ki ye KHat kis zaban mein hai
aainda-o-rawinda ki chalti hain Thokaren
jada jo apna tha usi KHwab-e-giran mein hai
kushte hain bagh mein bhi teri tegh-e-naz ke
bu-e-shahid lala mein aur arghawan mein hai
aashiq ke rang-e-zard ko dekho to hans paDo
tasir us mein bhi hai wo jo zafaran mein hai
madum wo kamar hai na mauhum wo dahan
kahte hain shaer un ke jo kuchh kuchh guman mein hai
gul TuTte hain hote hain bulbul asir-e-dam
sayyaad mustaid madad-e-baghban mein hai
sarkash ki manzilat hai subuk pesh-e-KHaksar
wo tamkanat zamin ki kahan aasman mein hai
sumbul se haal-e-gul hun main ye kah ke puchhta
kis silsile mein tu hai ye kis KHandan mein hai
dil mein KHayal-e-gesu-e-mushkin hai bad bala
ye murgh-e-ruh ke liye sanp aashiyan mein hai
hikmat se hai ye KHak ka putla bana hua
nur aankh mein hai us ke to maghz ustuKHan mein hai
'atish' buland-paya hai dargah yar ki
haftum falak ki rifat isi aastan mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.