Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aarzi aasaishon ki chah karna chhoD de

Saleem Siddiqi

aarzi aasaishon ki chah karna chhoD de

Saleem Siddiqi

MORE BYSaleem Siddiqi

    'ārzī āsā.ishoñ chaah karnā chhoḌ de

    fikr-e-uqbā zehn meñ rakh fikr-e-duniyā chhoḌ de

    kuchh 'amal zikr kar kuchh baat kar kirdār

    qaisar-o-kisrā ab to ḳhvāb bunñā chhoḌ de

    kashtiyāñ bhī bādbānoñ nahīñ muhtāj ab

    'ārzī ho jo sahārā vo sahārā chhoḌ de

    zindagī andoh-e-ġham meñ ghuT ke rah jaa.e agar

    jazba-e-ġham āñsuoñ shakl bahnā chhoḌ de

    vasl vā'da kiyā hai to ise puurā bhī kar

    ye nayā har roz hiila bahānā chhoḌ de

    ek din to dil ko bhī tarjīh de kar dekh luuñ

    'aql se kah do ki mujh ko aaj tanhā chhoḌ de

    kaash aa jaa.e palaT kar vo sunahrā daur phir

    bhaa.ī bhaa.ī ke liye muñh nivālā chhoḌ de

    apne hāthoñ se kamāne lagan dil meñ nahīñ

    chāhtā hai aaj beTā baap virsā chhoḌ de

    dekh khā jaa.eñ na aaheñ be-kas-o-mazlūm

    ai amīr-e-shahr ab bhī zulm Dhānā chhoḌ de

    mulk galiyāñ lahū piine 'aadī ho na jaa.eñ

    ye ta'assub zahr zehnoñ meñ bharnā chhoḌ de

    maz.habī jazbāt ke saare piTāre band kar

    ai siyāsat ke madārī ye tamāshā chhoḌ de

    chāñd ko chhūne koshish ahmaqāna fe.al hai

    jo na hāsil ho sake us tamannā chhoḌ de

    tā-qayāmat yaad rakkhe tujh ko ye duniyā 'salīm'

    apne kirdār-o-amal naqsh aisā chhoḌ de

    'arzi aasaishon ki chah karna chhoD de

    fikr-e-uqba zehn mein rakh fikr-e-duniya chhoD de

    kuchh 'amal ka zikr kar kuchh baat kar kirdar ki

    qaisar-o-kisra ka ab to KHwab bunna chhoD de

    kashtiyan bhi baadbanon ki nahin muhtaj ab

    'arzi ho jo sahaara wo sahaara chhoD de

    zindagi andoh-e-gham mein ghuT ke rah jae agar

    jazba-e-gham aansuon ki shakl bahna chhoD de

    wasl ka wa'da kiya hai to ise pura bhi kar

    ye naya har roz ka hila bahana chhoD de

    ek din to dil ko bhi tarjih de kar dekh lun

    'aql se kah do ki mujh ko aaj tanha chhoD de

    kash aa jae palaT kar wo sunahra daur phir

    bhai bhai ke liye munh ka niwala chhoD de

    apne hathon se kamane ki lagan dil mein nahin

    chahta hai aaj beTa bap wirsa chhoD de

    dekh kha jaen na aahen be-kas-o-mazlum ki

    ai amir-e-shahr ab bhi zulm Dhana chhoD de

    mulk ki galiyan lahu pine ki 'adi ho na jaen

    ye ta'assub zahr ka zehnon mein bharna chhoD de

    mazhabi jazbaat ke sare piTare band kar

    ai siyasat ke madari ye tamasha chhoD de

    chand ko chhune ki koshish ahmaqana feal hai

    jo na hasil ho sake us ki tamanna chhoD de

    ta-qayamat yaad rakkhe tujh ko ye duniya 'salim'

    apne kirdar-o-amal ka naqsh aisa chhoD de

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now