aarzi rahaton ke qail hain
aarzī rāhatoñ ke qaa.il haiñ
log āsā.ishoñ ke qaa.il haiñ
maiñ samajhtā thā aap ko apnā
aap to saiñkaḌoñ ke qaa.il haiñ
yaar to aib hī talāsheñge
aap kyoñ ḳhāmiyoñ ke qaa.il haiñ
kaafī mushkil hai aap tak pahuñcheñ
rañj bas shā.iroñ ke qaa.il haiñ
tum ko hairat nahīñ huī 'ahmad'
talḳh kāñTe guloñ ke qaa.il haiñ
aarzi rahaton ke qail hain
log aasaishon ke qail hain
main samajhta tha aap ko apna
aap to sainkaDon ke qail hain
yar to aib hi talashenge
aap kyon KHamiyon ke qail hain
kafi mushkil hai aap tak pahunchen
ranj bas shairon ke qail hain
tum ko hairat nahin hui 'ahmad'
talKH kanTe gulon ke qail hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.