Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye misra kash naqsh-e-har-dar-o-diwar ho jae

Jigar Moradabadi

ye misra kash naqsh-e-har-dar-o-diwar ho jae

Jigar Moradabadi

ye misra.a kaash naqsh-e-har-dar-o-dīvār ho jaa.e

jise jiinā ho marne ke liye tayyār ho jaa.e

vahī mai-ḳhvār hai jo is tarah mai-ḳhvār ho jaa.e

ki shīsha toḌ de aur be-piye sarshār ho jaa.e

dil-e-insāñ agar shā.ista-e-asrār ho jaa.e

lab-e-ḳhāmosh-fitrat lab-e-guftār ho jaa.e

har ik be-kār hastī ba-rū-e-kār ho jaa.e

junūñ rūh-e-ḳhvābīda agar bedār ho jaa.e

sunā hai hashr meñ har aañkh use be-parda dekhegī

mujhe Dar hai na tauhīn-e-jamāl-e-yār ho jaa.e

harīm-e-nāz meñ us rasā.ī ho to kyūñkar ho

ki jo āsūda zer-e-sāya-e-dīvār ho jaa.e

ma.āz-allāh us vārdāt-e-ġham ma.āz-allāh

chaman jis vatan ho aur chaman-be-zār ho jaa.e

yahī hai zindagī to zindagī se ḳhud-kushī achchhī

ki insāñ ālam-e-insāniyat par baar ho jaa.e

ik aisī shaan paidā kar ki bātil thartharā uTThe

nazar talvār ban jaa.e nafas jhankār ho jaa.e

ye roz o shab ye sub.h o shaam ye bastī ye vīrāna

sabhī bedār haiñ insāñ agar bedār ho jaa.e

ye misra kash naqsh-e-har-dar-o-diwar ho jae

jise jina ho marne ke liye tayyar ho jae

wahi mai-KHwar hai jo is tarah mai-KHwar ho jae

ki shisha toD de aur be-piye sarshaar ho jae

dil-e-insan agar shaista-e-asrar ho jae

lab-e-KHamosh-fitrat hi lab-e-guftar ho jae

har ek be-kar si hasti ba-ru-e-kar ho jae

junun ki ruh-e-KHwabida agar bedar ho jae

suna hai hashr mein har aankh use be-parda dekhegi

mujhe Dar hai na tauhin-e-jamal-e-yar ho jae

harim-e-naz mein us ki rasai ho to kyunkar ho

ki jo aasuda zer-e-saya-e-diwar ho jae

maaz-allah us ki wardat-e-gham maaz-allah

chaman jis ka watan ho aur chaman-be-zar ho jae

yahi hai zindagi to zindagi se KHud-kushi achchhi

ki insan aalam-e-insaniyat par bar ho jae

ek aisi shan paida kar ki baatil tharthara uTThe

nazar talwar ban jae nafas jhankar ho jae

ye roz o shab ye subh o sham ye basti ye virana

sabhi bedar hain insan agar bedar ho jae

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

ye misra kash naqsh-e-har-dar-o-diwar ho jae Nomaan Shauque

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now