aarzū band nigāhoñ kā safar hai shāyad
duur āfāq se ārām-nagar hai shāyad
kitne ma.asūm badan jhuul ga.e suulī par
ab ke sarsabz daraḳhtoñ meñ bhañvar hai shāyad
shaam aatī hai to chiḌiyoñ kī chahak suntā huuñ
mere andar koī nādīda shajar hai shāyad
log sab dauḌ rahe haiñ abhī uupar kī taraf
āsmānoñ meñ chhupā nūr-e-nazar hai shāyad
aarzu band nigahon ka safar hai shayad
dur aafaq se aaram-nagar hai shayad
kitne masum badan jhul gae suli par
ab ke sarsabz daraKHton mein bhanwar hai shayad
sham aati hai to chiDiyon ki chahak sunta hun
mere andar koi nadida shajar hai shayad
log sab dauD rahe hain abhi upar ki taraf
aasmanon mein chhupa nur-e-nazar hai shayad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.