aarzu-e-dawam ne mara
ārzū-e-davām ne maarā
jalva-e-sub.h-o-shām ne maarā
sar-kashī gaam gaam par mujh se
is dil-e-bad-lagām ne maarā
ibtidā kī na intihā kī ḳhabar
qissa-e-nā-tamām ne maarā
aql ḳhud hī shikār-e-jazba huī
ġhaznavī ko ġhulām ne maarā
hirs ne kuchh bhī dekhne na diyā
dāna-e-zer-e-dām ne maarā
sach to ye hai ki ibn-e-ādam ko
jazba-e-intiqām ne maarā
maiñ 'amīñ' kab fareb khātā thā
dahr ke ehtimām ne maarā
aarzu-e-dawam ne mara
jalwa-e-subh-o-sham ne mara
sar-kashi gam gam par mujh se
is dil-e-bad-lagam ne mara
ibtida ki na intiha ki KHabar
qissa-e-na-tamam ne mara
aql KHud hi shikar-e-jazba hui
ghaznawi ko ghulam ne mara
hirs ne kuchh bhi dekhne na diya
dana-e-zer-e-dam ne mara
sach to ye hai ki ibn-e-adam ko
jazba-e-intiqam ne mara
main 'amin' kab fareb khata tha
dahr ke ehtimam ne mara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.