aarzu-e-dil ka ye anjam hona chahiye
ārzū-e-dil kā ye anjām honā chāhiye
kyā mujhe bhī 'ishq meñ nākām honā chāhiye
kyuuñ bhalā iblīs ko ilzām dete ho faqat
tum ko ḳhair-o-shar kā bhī ilhām honā chāhiye
baap kī dastār becheñ bahan kī khīñcheñ ridā
mard kī ġhairat pe ab nīlām honā chāhiye
matlabī duniyā meñ hai gum ibn-e-ādam is qadar
kaam honā chāhiye bas kaam honā chāhiye
DhūñDne se gar nahīñ miltā ḳhudā phir DhūñDhiye
sub.h us kī justujū meñ shaam honā chāhiye
gar nasīboñ meñ nahīñ vo shaḳhs likkhā ai ḳhudā
kuchh du'āoñ kā mirī in'ām honā chāhiye
'ishq kī me'rāj ho ai kaash aisā mo'jiza
naam koī le vo merā naam honā chāhiye
gar tujhe banñā hai 'tishna' shā.era ik be-badal
tere har ik she'r meñ ib.hām honā chāhiye
aarzu-e-dil ka ye anjam hona chahiye
kya mujhe bhi 'ishq mein nakaam hona chahiye
kyun bhala iblis ko ilzam dete ho faqat
tum ko KHair-o-shar ka bhi ilham hona chahiye
bap ki dastar bechen bahan ki khinchen rida
mard ki ghairat pe ab nilam hona chahiye
matlabi duniya mein hai gum ibn-e-adam is qadar
kaam hona chahiye bas kaam hona chahiye
DhunDne se gar nahin milta KHuda phir DhunDhiye
subh us ki justuju mein sham hona chahiye
gar nasibon mein nahin wo shaKHs likkha ai KHuda
kuchh du'aon ka meri in'am hona chahiye
'ishq ki me'raj ho ai kash aisa mo'jiza
nam koi le wo mera nam hona chahiye
gar tujhe banna hai 'tishna' shaera ek be-badal
tere har ek she'r mein ibham hona chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.