aarzu-e-visal kya karte
ārzū-e-visāl kyā karte
ham se koī savāl kyā karte
lamha lamha hai be-qarār ye dil
aise dil kī sañbhāl kyā karte
jo na apnā ḳhayāl kar paa.e
vo kisī kā ḳhayāl kyā karte
jin ko shikva nahīñ kisī se bhī
log aise malāl kyā karte
un kī bātoñ meñ aa.e ai 'ālam'
apnā jiinā muhāl kyā karte
aarzu-e-visal kya karte
hum se koi sawal kya karte
lamha lamha hai be-qarar ye dil
aise dil ki sanbhaal kya karte
jo na apna KHayal kar pae
wo kisi ka KHayal kya karte
jin ko shikwa nahin kisi se bhi
log aise malal kya karte
un ki baaton mein aae ai 'alam'
apna jina muhaal kya karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.