aarzu hasrat tamanna muddaa koi nahin
aarzū hasrat tamanna mudda.ā koī nahīñ
jab se tum ho mere dil meñ dūsrā koī nahīñ
be-vafā.ī kā mujhe tujh se gila koī nahīñ
pyaar to maiñ ne kiyā terī ḳhatā koī nahīñ
chāhne vaalā huuñ terā jab kabhī maiñ ne kahā
kah diyā us bevafā ne tū mirā koī nahīñ
maiñ ne jab se dil lagāyā vo na merā ho sakā
is se baḌh kar dil lagāne kī sazā koī nahīñ
ḳhuub hai vo zindagī jo saath guzre yaar ke
yaar bin ulfat meñ jiine kā maza koī nahīñ
ruuh kī taskīn kā chāra nahīñ hai maut bhī
dard aisā hai mirā jis kī davā koī nahīñ
ajnabī huuñ maiñ shanāsāoñ meñ bhī rahte hue
jāntā koī nahīñ pahchāntā koī nahīñ
kaam kuchh tere bhī hote terī marzī ke ḳhilāf
haañ magar mere ḳhudā terā ḳhudā koī nahīñ
baḌh ke tūfāñ meñ sahārā mauj-e-tūfāñ kyoñ na de
merī kashtī kā ḳhudā hai nāḳhudā koī nahīñ
justujū kāmil hai to manzil kā milnā shart hai
justujū se baḌh ke 'purnam' rahnumā koī nahīñ
aarzu hasrat tamanna muddaa koi nahin
jab se tum ho mere dil mein dusra koi nahin
be-wafai ka mujhe tujh se gila koi nahin
pyar to main ne kiya teri KHata koi nahin
chahne wala hun tera jab kabhi main ne kaha
kah diya us bewafa ne tu mera koi nahin
main ne jab se dil lagaya wo na mera ho saka
is se baDh kar dil lagane ki saza koi nahin
KHub hai wo zindagi jo sath guzre yar ke
yar bin ulfat mein jine ka maza koi nahin
ruh ki taskin ka chaara nahin hai maut bhi
dard aisa hai mera jis ki dawa koi nahin
ajnabi hun main shanasaon mein bhi rahte hue
jaanta koi nahin pahchanta koi nahin
kaam kuchh tere bhi hote teri marzi ke KHilaf
han magar mere KHuda tera KHuda koi nahin
baDh ke tufan mein sahaara mauj-e-tufan kyon na de
meri kashti ka KHuda hai naKHuda koi nahin
justuju kaamil hai to manzil ka milna shart hai
justuju se baDh ke 'purnam' rahnuma koi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.