aarzu kab koi mohtaj-e-bayan hoti hai
aarzū kab koī mohtāj-e-bayāñ hotī hai
ḳhāmushī ḳhud hī mohabbat kī zabāñ hotī hai
rāhat-o-aish meñ ye baat kahāñ hotī hai
zindagī dard meñ Duube to javāñ hotī hai
tālib-e-ishq-o-mohabbat haiñ na pūchho ham se
shab kahāñ sub.h kahāñ shaam kahāñ hotī hai
jis nasheman kī ho ta.amīr meñ ḳhūn-e-mazlūm
us kī nigarāñ nazar-e-barq-e-tapāñ hotī hai
tū ne dekhī ho to kuchh tujh se kahūñ ai nāseh
kaif-zā kyā nigah-e-pīr-e-muġhāñ hotī hai
be-sabab tū na samajh nāseh-e-nādāñ is ko
Tiis sī ik jo qarīb-e-rag-e-jāñ hotī hai
ahl-e-dil ahl-e-nazar se koī pūchhe 'zamzam'
is mohabbat ko jo siine meñ nihāñ hotī hai
aarzu kab koi mohtaj-e-bayan hoti hai
KHamushi KHud hi mohabbat ki zaban hoti hai
rahat-o-aish mein ye baat kahan hoti hai
zindagi dard mein Dube to jawan hoti hai
talib-e-ishq-o-mohabbat hain na puchho hum se
shab kahan subh kahan sham kahan hoti hai
jis nasheman ki ho tamir mein KHun-e-mazlum
us ki nigaran nazar-e-barq-e-tapan hoti hai
tu ne dekhi ho to kuchh tujh se kahun ai naseh
kaif-za kya nigah-e-pir-e-mughan hoti hai
be-sabab tu na samajh naseh-e-nadan is ko
Tis si ek jo qarib-e-rag-e-jaan hoti hai
ahl-e-dil ahl-e-nazar se koi puchhe 'zamzam'
is mohabbat ko jo sine mein nihan hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.