aarzu paikar-o-asnam se Khaali nikli
aarzū paikar-o-asnām se ḳhālī niklī
maiñ ne hasrat bhī nikālī to ḳhayālī niklī
aaj sūraj bhī diyā haath meñ le kar niklā
kūcha-e-shab se sahar bhī mirī kaalī niklī
jabr-e-taqdīr se Dar jaate to mar hī jaate
jab bhī jiine kī koī raah nikālī niklī
ajnabī shahr meñ ik dasht-e-tamannā le kar
kāsa-e-chashm se bīnā.ī savālī niklī
terī TuuTī huī pāzeb ke ghuñghrū taare
dāman-e-shab se tire kaan kī baalī niklī
aarzu paikar-o-asnam se KHali nikli
main ne hasrat bhi nikali to KHayali nikli
aaj suraj bhi diya hath mein le kar nikla
kucha-e-shab se sahar bhi meri kali nikli
jabr-e-taqdir se Dar jate to mar hi jate
jab bhi jine ki koi rah nikali nikli
ajnabi shahr mein ek dasht-e-tamanna le kar
kasa-e-chashm se binai sawali nikli
teri TuTi hui pazeb ke ghunghru tare
daman-e-shab se tere kan ki baali nikli
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.