aarzu rakhna mohabbat mein baDa mazmum hai
Interesting Fact
May 1927
aarzū rakhnā mohabbat meñ baḌā mazmūm hai
sun ki tark-e-ārzū hī 'ishq kā mafhūm hai
un nigāhoñ ke tasādum se jo chingārī uThe
'ishq us kā naam hai ye 'ishq kā mafhūm hai
ab to ye armān hai armān hī paidā na hoñ
go samajhtā huuñ ki ye ummīd bhī mauhūm hai
vo khaḌe haiñ vo tasavvur ab tujhe maiñ kyā kahūñ
aañkh mahv-e-dīd kar diid se mahrūm hai
'ishq phir mahrūmiyāñ nākāmiyāñ barbādiyāñ
merī qismat meñ jo likkhā hai mujhe mā'lūm hai
maiñ tujhī ko dekhtā huuñ jalva-farmā har taraf
mā-sivā tere mire nazdīk sab mā'dūm hai
zindagī ko maut hai jab zindagī ḳhud ho fareb
maut bhī goyā fareb-e-hastī-e-mauhūm hai
'ishq meñ 'tālib' matā'-e-hosh kho kar ḳhush to ho
us kā jo anjām hai vo bhī tumheñ mā'lūm hai
aarzu rakhna mohabbat mein baDa mazmum hai
sun ki tark-e-arzu hi 'ishq ka mafhum hai
un nigahon ke tasadum se jo chingari uThe
'ishq us ka nam hai ye 'ishq ka mafhum hai
ab to ye arman hai arman hi paida na hon
go samajhta hun ki ye ummid bhi mauhum hai
wo khaDe hain wo tasawwur ab tujhe main kya kahun
aankh mahw-e-did kar did se mahrum hai
'ishq phir mahrumiyan nakaamiyan barbaadiyan
meri qismat mein jo likkha hai mujhe ma'lum hai
main tujhi ko dekhta hun jalwa-farma har taraf
ma-siwa tere mere nazdik sab ma'dum hai
zindagi ko maut hai jab zindagi KHud ho fareb
maut bhi goya fareb-e-hasti-e-mauhum hai
'ishq mein 'talib' mata'-e-hosh kho kar KHush to ho
us ka jo anjam hai wo bhi tumhein ma'lum hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.