aarzu thi ye bikheren apni kirnen subh tak
aarzū thī ye bikhereñ apnī kirneñ sub.h tak
rote rote bujh ga.ī haiñ saarī sham.eñ sub.h tak
shab kī muTThī meñ parindoñ kī tarah vo so ga.iiñ
ho ga.iiñ zinda hathelī par lakīreñ sub.h tak
vaqt kī guzrī ibārat kī tilāvat ke liye
raat kī tanhā.iyoñ meñ aao ghūmeñ sub.h tak
din kā sūraj un pe likkhegā anokhe tabsire
ham ne jo tālīf kiiñ dil par kitābeñ sub.h tak
zindagī ke rāstoñ meñ jo kahīñ gum ho ga.e
DhūñDtī ab un ko haiñ ḳhvāboñ meñ āñkheñ sub.h tak
āshiyānoñ meñ na jab lauTe parinde to 'sadīd'
duur tak taktī rahīñ shāḳhoñ meñ āñkheñ sub.h tak
aarzu thi ye bikheren apni kirnen subh tak
rote rote bujh gai hain sari shamen subh tak
shab ki muTThi mein parindon ki tarah wo so gain
ho gain zinda hatheli par lakiren subh tak
waqt ki guzri ibarat ki tilawat ke liye
raat ki tanhaiyon mein aao ghumen subh tak
din ka suraj un pe likkhega anokhe tabsire
hum ne jo talif kin dil par kitaben subh tak
zindagi ke raston mein jo kahin gum ho gae
DhunDti ab un ko hain KHwabon mein aankhen subh tak
aashiyanon mein na jab lauTe parinde to 'sadid'
dur tak takti rahin shaKHon mein aankhen subh tak
- Book : Asaleeb (Pg. 213)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.