aarzuon ka nagar chhoD aae
ārzūoñ kā nagar chhoḌ aa.e
naaz thā jis pe vo ghar chhoḌ aa.e
ik tirī yaad bachā kar rakh lī
saarā sāmān-e-safar chhoḌ aa.e
muddatoñ yaad rakhegī duniyā
ham bhī ik aisā hunar chhoḌ aa.e
ghar ke bāhar bhī udāsī na ga.ī
ghar se ghabrā ke jo ghar chhoḌ aa.e
thak ga.e jab koī khiḌkī na khulī
ham vahīñ dīda-e-tar chhoḌ aa.e
us ko aate hī banegī 'rahmat'
aaj ik aisī ḳhabar chhoḌ aa.e
aarzuon ka nagar chhoD aae
naz tha jis pe wo ghar chhoD aae
ek teri yaad bacha kar rakh li
sara saman-e-safar chhoD aae
muddaton yaad rakhegi duniya
hum bhi ek aisa hunar chhoD aae
ghar ke bahar bhi udasi na gai
ghar se ghabra ke jo ghar chhoD aae
thak gae jab koi khiDki na khuli
hum wahin dida-e-tar chhoD aae
us ko aate hi banegi 'rahmat'
aaj ek aisi KHabar chhoD aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.