aarzuon ke shagufon ko jala kar dekho
ārzūoñ ke shagūfoñ ko jalā kar dekho
kitnī ḳhālis hai mohabbat pe tapā kar dekho
bahr-e-duniyā ke talātum meñ ḳhulūs aur vafā
kachchī miTTī ke gharauñde haiñ banā kar dekho
baat kuchh qahqahoñ kuchh ta.anoñ meñ dab jā.egī
dāstāñ dard kī apnoñ ko sunā kar dekho
log añgāre bujhā deñge guzargāhoñ meñ
ik qadam pyaar ke raste pe baḌhā kar dekho
jiinā chāhoge to jiine bhī na degā koī
mar na pāoge zarā maut bulā kar dekho
aarzuon ke shagufon ko jala kar dekho
kitni KHalis hai mohabbat pe tapa kar dekho
bahr-e-duniya ke talatum mein KHulus aur wafa
kachchi miTTi ke gharaunde hain bana kar dekho
baat kuchh qahqahon kuchh tanon mein dab jaegi
dastan dard ki apnon ko suna kar dekho
log angare bujha denge guzargahon mein
ek qadam pyar ke raste pe baDha kar dekho
jina chahoge to jine bhi na dega koi
mar na paoge zara maut bula kar dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.