aarzuon ke shahr jalne lage
ārzūoñ ke shahr jalne lage
kārvāñ saath saath chalne lage
terī āñkhoñ se mai chhalakne lagī
aur gir gir ke ham sambhalne lage
ik mohabbat thī aur kuchh bhī nahīñ
ham tirā naam le ke chalne lage
thā añdherā samundaroñ meñ magar
sāhiloñ par charāġh jalne lage
mausam-e-gul hai aur terā ḳhayāl
aur ham saath saath chalne lage
aarzuon ke shahr jalne lage
karwan sath sath chalne lage
teri aankhon se mai chhalakne lagi
aur gir gir ke hum sambhalne lage
ek mohabbat thi aur kuchh bhi nahin
hum tera nam le ke chalne lage
tha andhera samundaron mein magar
sahilon par charagh jalne lage
mausam-e-gul hai aur tera KHayal
aur hum sath sath chalne lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.