aas ko dasht-e-arzu de de
aas ko dasht-e-ārzū de de
paañv ko karb-e-justujū de de
ab ke phūloñ kā rang phīkā hai
fasl-e-gul ko mirā lahū de de
maiñ kahāñ aur matā'-e-dard kahāñ
yeh terī den jis ko tū de de
be-zabānī meñ 'umr guzrī hai
aaj to izn-e-guftugū de de
'umr bhar dostoñ kā naam na luuñ
gar qarīne kā ik 'adū de de
jis ne sairāb kar diyā mujh ko
vā'izoñ ko bhī vo subū de de
terā 'mājid' ḳhamosh hai kab se
koī mauzū'-e-guftugū de de
aas ko dasht-e-arzu de de
panw ko karb-e-justuju de de
ab ke phulon ka rang phika hai
fasl-e-gul ko mera lahu de de
main kahan aur mata'-e-dard kahan
yeh teri den jis ko tu de de
be-zabani mein 'umr guzri hai
aaj to izn-e-guftugu de de
'umr bhar doston ka nam na lun
gar qarine ka ek 'adu de de
jis ne sairab kar diya mujh ko
wa'izon ko bhi wo subu de de
tera 'majid' KHamosh hai kab se
koi mauzu'-e-guftugu de de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.