aasan zindagani ka koi safar nahin
āsān zindagānī kā koī safar nahīñ
manzil hai rāsta hai magar rāhbar nahīñ
jis ke ḳhayāl-o-ḳhvāb meñ duniyā se kaT gayā
us ko mire vajūd kī koī ḳhabar nahīñ
rānā.i-e-jamāl hai mauzū-e-guftugū
hālāt-e-hāzira pe tumhārī nazar nahīñ
ye raqs-e-tīrgī hai yā me.arāj-e-zindagī
mahfūz koī gaañv koī rahguzar nahīñ
ye roz-o-shab kī saarī tag-o-dau fuzūl hai
gar zindagī ke baab meñ soz-e-jigar nahīñ
gauhar-shanās bazm se shāyad ki jā chuke
kyoñ aaj koī qīmat-e-dast-e-hunar nahīñ
jis ko har ek shaḳhs hī nā-mo'tabar lage
'ajmal' mirī nigāh meñ vo mo'atabar nahīñ
aasan zindagani ka koi safar nahin
manzil hai rasta hai magar rahbar nahin
jis ke KHayal-o-KHwab mein duniya se kaT gaya
us ko mere wajud ki koi KHabar nahin
ranai-e-jamal hai mauzu-e-guftugu
haalat-e-hazira pe tumhaari nazar nahin
ye raqs-e-tirgi hai ya mearaj-e-zindagi
mahfuz koi ganw koi rahguzar nahin
ye roz-o-shab ki sari tag-o-dau fuzul hai
gar zindagi ke bab mein soz-e-jigar nahin
gauhar-shanas bazm se shayad ki ja chuke
kyon aaj koi qimat-e-dast-e-hunar nahin
jis ko har ek shaKHs hi na-mo'tabar lage
'ajmal' meri nigah mein wo mo'atabar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.