Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aashiq-e-zar hun diwana hun

Muntazir lakhnavi

aashiq-e-zar hun diwana hun

Muntazir lakhnavi

MORE BYMuntazir lakhnavi

    āshiq-e-zār huuñ dīvāna huuñ

    maiñ bhī ik sham.a parvāna huuñ

    ḳhāna-ābād junūñ daulat

    bā.is-e-raunaq-e-vīrāna huuñ

    yaad rakhtā hai mujhe kam koī

    maiñ dam-e-ḳhvāb afsāna huuñ

    us se har ek ko apnāyat hai

    kaun kahtā hai maiñ begāna huuñ

    loTnā ashk maiñ siine par

    jāntā bāzī-e-tiflāna huuñ

    'muntazir' roz-e-azal se maiñ to

    vālih-e-jalva-e-jānāna huuñ

    aashiq-e-zar hun diwana hun

    main bhi ek shama ka parwana hun

    KHana-abaad junun ki daulat

    bais-e-raunaq-e-virana hun

    yaad rakhta hai mujhe kam koi

    main dam-e-KHwab ka afsana hun

    us se har ek ko apnayat hai

    kaun kahta hai main begana hun

    loTna ashk ka main sine par

    jaanta bazi-e-tiflana hun

    'muntazir' roz-e-azal se main to

    walih-e-jalwa-e-jaanana hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now