aashiqi ke aashkare ho chuke
āshiqī ke āshkāre ho chuke
husn-e-yaktā ke pukāre ho chuke
uTh gayā parda jo fī-mābain thā
mann-o-tū ke the ishāre ho chuke
hai bahār-e-gulshan-e-duniyā do roz
bulbul-o-gul ke nazāre ho chuke
chal diye uTh kar jahāñ chāhe vahāñ
ek rañgī ke sahāre ho chuke
yaas se kah deñge vaqt-e-qatl ham
ham to ai pyāre tumhāre ho chuke
vāsil-e-dariyā jo qatra ho gayā
ġhairiyat ke the pukāre ho chuke
gulshan-e-hastī meñ dekhī thī bahār
auj par jo the sitāre ho chuke
varta-e-dariyā kā ġham jaatā rahā
ġhota khāte the kināre ho chuke
nek-o-bad se tum ko 'markaz' kyā ġharaz
duur dushman the tumhāre ho chuke
aashiqi ke aashkare ho chuke
husn-e-yakta ke pukare ho chuke
uTh gaya parda jo fi-mabain tha
mann-o-tu ke the ishaare ho chuke
hai bahaar-e-gulshan-e-duniya do roz
bulbul-o-gul ke nazare ho chuke
chal diye uTh kar jahan chahe wahan
ek rangi ke sahaare ho chuke
yas se kah denge waqt-e-qatl hum
hum to ai pyare tumhaare ho chuke
wasil-e-dariya jo qatra ho gaya
ghairiyat ke the pukare ho chuke
gulshan-e-hasti mein dekhi thi bahaar
auj par jo the sitare ho chuke
warta-e-dariya ka gham jata raha
ghota khate the kinare ho chuke
nek-o-bad se tum ko 'markaz' kya gharaz
dur dushman the tumhaare ho chuke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.