aashna ho kar bhi usne mujhko pahchana na tha
āshnā ho kar bhī us ne mujh ko pahchānā na thā
us ke is bartāv kā kuchh mujh ko andāza na thā
aise ik tapte safar kī dāstāñ thī zindagī
dhuup thī saa.e meñ lekin dhuup meñ saaya na thā
kyā kahūñ tujh se bichhaḌ kar zindagī kaise kaTī
harkateñ kartī thī sāñseñ aur maiñ zinda na thā
gir gayā kyuuñ yak-ba-yak taarā zamīñ par TuuT kar
āsmāñ dekhā thā maiñ ne aur kuchh māñgā na thā
ham-zabāñ sab the nadārat bhiiḌ ke us shahr meñ
gird mere buildingeñ thī koī ham-sāya na thā
phir bhī us rishte ko maiñ ne TuuT kar chāhā 'pavan'
vo ki jis rishte se merā koī bhī naata na thā
aashna ho kar bhi us ne mujh ko pahchana na tha
us ke is bartaw ka kuchh mujh ko andaza na tha
aise ek tapte safar ki dastan thi zindagi
dhup thi sae mein lekin dhup mein saya na tha
kya kahun tujh se bichhaD kar zindagi kaise kaTi
harkaten karti thi sansen aur main zinda na tha
gir gaya kyun yak-ba-yak tara zamin par TuT kar
aasman dekha tha main ne aur kuchh manga na tha
ham-zaban sab the nadarat bhiD ke us shahr mein
gird mere buildingen thi koi ham-saya na tha
phir bhi us rishte ko main ne TuT kar chaha 'pawan'
wo ki jis rishte se mera koi bhi nata na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.