aashna shakl na-ashna aadmi
āshnā shakl nā-āshnā aadmī
ḳhud-farebī meñ hai mubtalā aadmī
jaane kin kin ināyāt se TuuT kar
jheltā hai shikast-e-anā aadmī
kitnā mushkil hai mardum-shanāsī kā fan
kitnā ghāyal thā vo masḳhara aadmī
kis se ahvāl kī koī pursish kare
dauḌtā bhāgtā hādsa aadmī
ik habāb-e-ravāñ mauj-e-sayyāl par
hai magar kis qadar ḳhud-numā aadmī
yuuñ ta.alluq-shikan hai ye tahzīb-e-nau
ban gayā ik jazīra-numā aadmī
DhūñD laa.e the dair-o-haram se abhī
phir kahāñ kho gayā sar-phirā aadmī
apne maslak kā vo āḳhirī fard thā
khoTī duniyā meñ 'afzal' kharā aadmī
aashna shakl na-ashna aadmi
KHud-farebi mein hai mubtala aadmi
jaane kin kin inayat se TuT kar
jhelta hai shikast-e-ana aadmi
kitna mushkil hai mardum-shanasi ka fan
kitna ghayal tha wo masKHara aadmi
kis se ahwal ki koi pursish kare
dauDta bhagta hadsa aadmi
ek habab-e-rawan mauj-e-sayyal par
hai magar kis qadar KHud-numa aadmi
yun talluq-shikan hai ye tahzib-e-nau
ban gaya ek jazira-numa aadmi
DhunD lae the dair-o-haram se abhi
phir kahan kho gaya sar-phira aadmi
apne maslak ka wo aaKHiri fard tha
khoTi duniya mein 'afzal' khara aadmi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.