aashnai ka dam bhi bharte ho
āshnā.ī kā dam bhī bharte ho
ham-kalāmī se itnā Darte ho
dil ke goshe meñ hai chhupāyā mujhe
guftugū karte kitnā Darte ho
merā hī ḳhvāb dekhne vaale
mujh se bach bach ke kyoñ guzarte ho
chāhe iqrār ho ki ho inkār
ishq kī raah se guzarte ho
aashnai ka dam bhi bharte ho
ham-kalami se itna Darte ho
dil ke goshe mein hai chhupaya mujhe
guftugu karte kitna Darte ho
mera hi KHwab dekhne wale
mujh se bach bach ke kyon guzarte ho
chahe iqrar ho ki ho inkar
ishq ki rah se guzarte ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.