aashob-e-rozgar satae to kya karen
āshob-e-rozgār satā.e to kyā kareñ
ham dil-jaloñ ko aur jalā.e to kyā kareñ
zālim the ġhair ġhair the ġhairoñ kā zikr kyā
apne hī ghar meñ chain na aa.e to kyā kareñ
dushman nazar uThā.e to āñkheñ nikāl leñ
bhaa.ī ko bhaa.ī aañkh dikhā.e to kyā kareñ
vo dil-navāz jis pe abhī dil ko naaz hai
dushman-navāz ban ke dikhā.e to kyā kareñ
ham chāhte to haiñ ki sukūñ-āshnā raheñ
dil hī agar qarār na paa.e to kyā kareñ
apnā banā ke dost hī māreñ vatan se duur
qismat agar ye din bhī dikhā.e to kyā kareñ
'zaidī' hameñ to 'ahd-e-vafā kā ḳhayāl hai
us bevafā ko sharm na aa.e to kyā kareñ
aashob-e-rozgar satae to kya karen
hum dil-jalon ko aur jalae to kya karen
zalim the ghair ghair the ghairon ka zikr kya
apne hi ghar mein chain na aae to kya karen
dushman nazar uThae to aankhen nikal len
bhai ko bhai aankh dikhae to kya karen
wo dil-nawaz jis pe abhi dil ko naz hai
dushman-nawaz ban ke dikhae to kya karen
hum chahte to hain ki sukun-ashna rahen
dil hi agar qarar na pae to kya karen
apna bana ke dost hi maren watan se dur
qismat agar ye din bhi dikhae to kya karen
'zaidi' hamein to 'ahd-e-wafa ka KHayal hai
us bewafa ko sharm na aae to kya karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.