aashob-e-zamana ne ubhaara hai jazira
aashob-e-zamana ne ubhaara hai jazira
Mukarram Husain Awan Zamzam
MORE BYMukarram Husain Awan Zamzam
āshob-e-zamāna ne ubhārā hai jazīra
jhīloñ ke ilāqe meñ hamārā hai jazīra
aflāk-e-samundar haiñ mohabbat kī nazar meñ
peshāni-e-nāzuk pe sitāra hai jazīra
ummīd kī baano se tavānā hai shanāvar
girdāb-e-samundar meñ sahārā hai jazīra
ākāsh ke sāgar meñ sitāre to bahut haiñ
par tīnat-e-ādam ne sañvārā hai jazīra
dariyā-e-mohabbat kī masāfat meñ hai gardāñ
kab qais ko rāhat kā gavāra hai jazīra
aashob-e-zamana ne ubhaara hai jazira
jhilon ke ilaqe mein hamara hai jazira
aflak-e-samundar hain mohabbat ki nazar mein
peshani-e-nazuk pe sitara hai jazira
ummid ki bano se tawana hai shanawar
girdab-e-samundar mein sahaara hai jazira
aakash ke sagar mein sitare to bahut hain
par tinat-e-adam ne sanwara hai jazira
dariya-e-mohabbat ki masafat mein hai gardan
kab qais ko rahat ka gawara hai jazira
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.