aasman aasman panw dharte gae din guzarte gae
āsmāñ āsmāñ paañv dharte ga.e din guzarte ga.e
ham sitāroñ ko bajre meñ bharte ga.e din guzarte ga.e
rāh-e-pur-ḳhār ke ābla-pā musāfir the ik dhyān meñ
reg-e-imroz par phuul dharte ga.e din guzarte ga.e
vaqt kī shāḳh par zard mausam khilā aur havā chal paḌī
duur tak ḳhushk patte bikharte ga.e din guzarte ga.e
ek chiḌiyā kathā koī kahtī rahī naav bahtī rahī
aur māñjhī se ham baat karte ga.e din guzarte ga.e
kitnī duniyāoñ se kitnī duniyāoñ tak gard ke bāvajūd
naqsh se aa.ine meñ Thaharte ga.e din guzarte ga.e
bichh ga.ī ek shab chār-sū ik bisāt-e-havā aur ham
apnī har saañs par saañs harte ga.e din guzarte ga.e
jis qadar ḳhvāb the maT-mile pāniyoñ meñ bahe aur phir
dil tarā.ī meñ 'at.har' utarte ga.e din guzarte ga.e
aasman aasman panw dharte gae din guzarte gae
hum sitaron ko bajre mein bharte gae din guzarte gae
rah-e-pur-KHar ke aabla-pa musafir the ek dhyan mein
reg-e-imroz par phul dharte gae din guzarte gae
waqt ki shaKH par zard mausam khila aur hawa chal paDi
dur tak KHushk patte bikharte gae din guzarte gae
ek chiDiya katha koi kahti rahi naw bahti rahi
aur manjhi se hum baat karte gae din guzarte gae
kitni duniyaon se kitni duniyaon tak gard ke bawajud
naqsh se aaine mein Thaharte gae din guzarte gae
bichh gai ek shab chaar-su ek bisat-e-hawa aur hum
apni har sans par sans harte gae din guzarte gae
jis qadar KHwab the maT-mile paniyon mein bahe aur phir
dil tarai mein 'athar' utarte gae din guzarte gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.