aasman ek KHwab sa dekha gaya
āsmāñ ik ḳhvāb sā dekhā gayā
raat kā pyāla koī auñdhā gayā
kyoñ dayār-e-dāna-e-gandum milā
maiñ thā goyā kīmiyā gūñdhā gayā
zā.iqa aur farsh kī sīlan nasīb
chhat pe paiham ḳhushk mausam chhā gayā
lab talak pahuñchā hai kāñToñ kā shajar
jism meñ ugnā use kyoñ bhā gayā
thī samajhne yā ki samjhāne kī baat
dekhte dekhā mujhe samjhā gayā
aasman ek KHwab sa dekha gaya
raat ka pyala koi aundha gaya
kyon dayar-e-dana-e-gandum mila
main tha goya kimiya gundha gaya
zaiqa aur farsh ki silan nasib
chhat pe paiham KHushk mausam chha gaya
lab talak pahuncha hai kanTon ka shajar
jism mein ugna use kyon bha gaya
thi samajhne ya ki samjhane ki baat
dekhte dekha mujhe samjha gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.