Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aasman ki rifaton se tarz-e-yari sikh lo

Majid Deobandi

aasman ki rifaton se tarz-e-yari sikh lo

Majid Deobandi

MORE BYMajid Deobandi

    āsmāñ rif.atoñ se tarz-e-yārī siikh lo

    sar uThā kar chalne vaalo ḳhāksārī siikh lo

    pesh-ḳhema haiñ tanazzul takabbur aur ġhurūr

    martaba chāho to pahle inkisārī siikh lo

    ḳhud badal jā.egā nafrat fazāoñ mizāj

    pyaar ḳhushbū luTāo mushkbārī siikh lo

    chun lo qirtās o qalam teġh kar lo intiḳhāb

    koī fan apnāo lekin shāhkārī siikh lo

    phir tumhāre paañv chhūne ḳhud bulandī aa.egī

    sab diloñ par raaj kar ke tāj-dārī siikh lo

    ishq maidān āsāñ to nahīñ hai mohtaram

    ishq karnā agar hai ġham-shi.ārī siikh lo

    jis shajar chhāñv ho 'mājid' zamāne ke liye

    kaise hogī is shajar ābiyārī siikh lo

    aasman ki rifaton se tarz-e-yari sikh lo

    sar uTha kar chalne walo KHaksari sikh lo

    pesh-KHema hain tanazzul ka takabbur aur ghurur

    martaba chaho to pahle inkisari sikh lo

    KHud badal jaega nafrat ki fazaon ka mizaj

    pyar ki KHushbu luTao mushkbari sikh lo

    chun lo qirtas o qalam ya tegh kar lo intiKHab

    koi fan apnao lekin shahkari sikh lo

    phir tumhaare panw chhune KHud bulandi aaegi

    sab dilon par raj kar ke taj-dari sikh lo

    ishq ka maidan aasan to nahin hai mohtaram

    ishq karna hi agar hai gham-shiari sikh lo

    jis shajar ki chhanw ho 'majid' zamane ke liye

    kaise hogi is shajar ki aabiyari sikh lo

    Source :
    • Book : Shaakh-e-Dil (Pg. 79)
    • Author : Dr. Majid Deobandi
    • Publication : Anjum Book Depot, Delhi-6 (2011)
    • Edition : 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now