aasman par abr-pare ka safar mere liye
āsmāñ par abr-pāre kā safar mere liye
ḳhaak par mahkā huā chhoTā sā ghar mere liye
lafz kī chhāgal jo chahke ḳhāk-dāñ ābād ho
vajd meñ aane lageñ saare shajar mere liye
duur tak uḌte hue jugnū tirī āvāz ke
duur tak reg-e-ravāñ par ik nagar mere liye
āshnā nazroñ se dekheñ raat bhar taare tujhe
ghūrtī āñkhoñ kī ye bastī magar mere liye
le ga.ī hai saarī ḳhushbū chhīn kar ThanDī havā
pattiyāñ bikhrī paḌī haiñ ḳhaak par mere liye
band us ne kar liye the ghar ke darvāze agar
phir khulā kyuuñ rah gayā thā ek dar mere liye
ḳhaak par bikhre hue qadmoñ-tale rauñde hue
tohfatan laa.ī havā mere hī par mere liye
aasman par abr-pare ka safar mere liye
KHak par mahka hua chhoTa sa ghar mere liye
lafz ki chhagal jo chahke KHak-dan aabaad ho
wajd mein aane lagen sare shajar mere liye
dur tak uDte hue jugnu teri aawaz ke
dur tak reg-e-rawan par ek nagar mere liye
aashna nazron se dekhen raat bhar tare tujhe
ghurti aankhon ki ye basti magar mere liye
le gai hai sari KHushbu chhin kar ThanDi hawa
pattiyan bikhri paDi hain KHak par mere liye
band us ne kar liye the ghar ke darwaze agar
phir khula kyun rah gaya tha ek dar mere liye
KHak par bikhre hue qadmon-tale raunde hue
tohfatan lai hawa mere hi par mere liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.