aasman par bane the chehre se
āsmāñ par bane the chehre se
log yaad aa.e bhūle-bisre se
kitne sūraj zamīn meñ so.e
nuur phūTegā zarre zarre se
aañkh meñ aa gayā hai ik aañsū
dasht sairāb ek qatre se
sabz-mausam hai sahn meñ lekin
zard-rut jhāñktī hai kamre se
umr kitnī bhī ho magar shohrat
baaz aatī kahāñ hai naḳhre se
ġham bhī darvesh ho gayā 'fārūq'
kam nikaltā hai apne hujre se
aasman par bane the chehre se
log yaad aae bhule-bisre se
kitne suraj zamin mein soe
nur phuTega zarre zarre se
aankh mein aa gaya hai ek aansu
dasht sairab ek qatre se
sabz-mausam hai sahn mein lekin
zard-rut jhankti hai kamre se
umr kitni bhi ho magar shohrat
baz aati kahan hai naKHre se
gham bhi darwesh ho gaya 'faruq'
kam nikalta hai apne hujre se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.