aasman par biTha diya mujhko
āsmāñ par biThā diyā mujh ko
is suḳhan ne jhukā diyā mujh ko
dāstāñ zindagī kī itnī hai
zindagī ne khapā diyā mujh ko
chhāñv meñ jab gayā maiñ sustāne
ḳhvāhishoñ ne uThā diyā mujh ko
sabr kī chhat bachāte haiñ kaise
āñdhiyoñ ne sikhā diyā mujh ko
maiñ thā be-fikr baiTh kashtī meñ
kashtī ne hī Dubo diyā mujh ko
phone par terī is ḳhamoshī ne
aaj phir se rulā diyā mujh ko
kis qadar dūriyoñ kī chādar hai
karvaToñ ne batā diyā mujh ko
ḳhvāb sī zindagī thī 'ġhāfil' kī
shukriya jo jagā diyā mujh ko
aasman par biTha diya mujh ko
is suKHan ne jhuka diya mujh ko
dastan zindagi ki itni hai
zindagi ne khapa diya mujh ko
chhanw mein jab gaya main sustane
KHwahishon ne uTha diya mujh ko
sabr ki chhat bachate hain kaise
aandhiyon ne sikha diya mujh ko
main tha be-fikr baiTh kashti mein
kashti ne hi Dubo diya mujh ko
phone par teri is KHamoshi ne
aaj phir se rula diya mujh ko
kis qadar duriyon ki chadar hai
karwaTon ne bata diya mujh ko
KHwab si zindagi thi 'ghafil' ki
shukriya jo jaga diya mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.