aasman sar pe uThaya bhi nahin jaega
āsmāñ sar pe uThāyā bhī nahīñ jā.egā
haañ magar us ko bhulāyā bhī nahīñ jā.egā
hausla apnī jagah Thiik hai lekin ham se
dūsrā ishq nibhāyā bhī nahīñ jā.egā
shikva-e-zulmat-e-shab ḳhuub kiyā jā.egā
ik diyā ḳhud kā jalāyā bhī nahīñ jā.egā
ḳhaak us shaḳhs se ta.abīr pe asrār kareñ
jis se kuchh ḳhvāb dikhāyā bhī nahīñ jā.egā
tum ne achchhā hī kiyā tark-e-mohabbat kar ke
tum se ye misrā uThāyā bhī nahīñ jā.egā
vo bhī mumkin hai na aane ke bahāne DhūñDe
aur ab ham se bulāyā bhī nahīñ jā.egā
pūchhne aa.e haiñ ahvāl vo 'abdul-qādir'
kyā batā.eñ ki batāyā bhī nahīñ jā.egā
aasman sar pe uThaya bhi nahin jaega
han magar us ko bhulaya bhi nahin jaega
hausla apni jagah Thik hai lekin hum se
dusra ishq nibhaya bhi nahin jaega
shikwa-e-zulmat-e-shab KHub kiya jaega
ek diya KHud ka jalaya bhi nahin jaega
KHak us shaKHs se tabir pe asrar karen
jis se kuchh KHwab dikhaya bhi nahin jaega
tum ne achchha hi kiya tark-e-mohabbat kar ke
tum se ye misra uThaya bhi nahin jaega
wo bhi mumkin hai na aane ke bahane DhunDe
aur ab hum se bulaya bhi nahin jaega
puchhne aae hain ahwal wo 'abdul-qadir'
kya bataen ki bataya bhi nahin jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.