aasman se chhin gaya jab chand taron ka libas
āsmāñ se chhin gayā jab chāñd tāroñ kā libās
shabnamī kapḌoñ meñ lipTī thī zamīñ kī narm ghaas
toḌ kar dīvār lamhoñ kī huā jab rū-ba-rū
maiñ bhī afsurda thā us kā dil bhī thā behad udaas
maujzan imroz kā khārā samundar thā bahut
terī yādoñ ke jazīre the magar kuchh ās-pās
jab badan kaliyoñ kā sūraj kī kiran chhūne lagī
os kī būñdoñ ne paayā ḳhud ko behad bad-havās
mere tan meñ ḳhema-zan thī ik sulagtī dopahar
vo bhī thā pahne hue barfīle mausam kā libās
jism kī chādar lapeTe thā 'kañval' vo gul-badan
maiñ bhī us se reza-reza ho rahā thā rū-shanās
aasman se chhin gaya jab chand taron ka libas
shabnami kapDon mein lipTi thi zamin ki narm ghas
toD kar diwar lamhon ki hua jab ru-ba-ru
main bhi afsurda tha us ka dil bhi tha behad udas
maujzan imroz ka khaara samundar tha bahut
teri yaadon ke jazire the magar kuchh aas-pas
jab badan kaliyon ka suraj ki kiran chhune lagi
os ki bundon ne paya KHud ko behad bad-hawas
mere tan mein KHema-zan thi ek sulagti dopahar
wo bhi tha pahne hue barfile mausam ka libas
jism ki chadar lapeTe tha 'kanwal' wo gul-badan
main bhi us se reza-reza ho raha tha ru-shanas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.