aasman tha tum the ya mera sitara kaun tha
āsmāñ thā tum the yā merā sitārā kaun thā
merī har manzil masāfat se badaltā kaun thā
bas yūñhī ik zid meñ saarī zindagī barbād kī
jāntā huuñ rog kyā the aur mudāvā kaun thā
har qadam taaza kumak miltī rahī apne ḳhilāf
merā apnā hī adū mere alāva kaun thā
kyā kisī ummīd par phir se dar-e-dil vā karūñ
tujh se baḌh kar ḳhud batā merā shanāsā kaun thā
vo to maiñ bas pyaar kar baiThā kisī se ai ḳhudā
varna tere in khilaunoñ se bahaltā kaun thā
aasman tha tum the ya mera sitara kaun tha
meri har manzil masafat se badalta kaun tha
bas yunhi ek zid mein sari zindagi barbaad ki
jaanta hun rog kya the aur mudawa kaun tha
har qadam taza kumak milti rahi apne KHilaf
mera apna hi adu mere alawa kaun tha
kya kisi ummid par phir se dar-e-dil wa karun
tujh se baDh kar KHud bata mera shanasa kaun tha
wo to main bas pyar kar baiTha kisi se ai KHuda
warna tere in khilaunon se bahalta kaun tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.