Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aasman uske liye aur zamin uske sath

Rakhshanda Naved

aasman uske liye aur zamin uske sath

Rakhshanda Naved

MORE BYRakhshanda Naved

    āsmāñ us ke liye aur zamīñ us ke saath

    shahr chal diyā har ek hasīñ us ke saath

    bas yahī soch ke maiñ bhūkī rahī kitne din

    hogī ik dāvat-e-shīrāz kahīñ us ke saath

    naav ko chaar taraf ghere khaḌe the girdāb

    ye magar faisla merā thā nahīñ us ke saath

    kaise maiñ ḳhālī karā saktī thī ye dil apnā

    ghar ke dīvār-o-dar-o-aks-o-makīñ us ke saath

    vo jo ik pair tale shaḳhs hai bhūkā pyāsā

    boriyā merā lagā diijo vahīñ us ke saath

    us firoza-nigāhī meñ ajab jaadū hai

    rañg tabdīl kare chashm-e-nagīñ us ke saath

    duur ākāsh pe raushan rahe husn-e-mahtāb

    apnī 'raḳhshanda' munavvar hai jabīñ us ke saath

    aasman us ke liye aur zamin us ke sath

    shahr ka chal diya har ek hasin us ke sath

    bas yahi soch ke main bhuki rahi kitne din

    hogi ek dawat-e-shiraaz kahin us ke sath

    naw ko chaar taraf ghere khaDe the girdab

    ye magar faisla mera tha nahin us ke sath

    kaise main KHali kara sakti thi ye dil apna

    ghar ke diwar-o-dar-o-aks-o-makin us ke sath

    wo jo ek pair tale shaKHs hai bhuka pyasa

    boriya mera laga dijo wahin us ke sath

    us ki firoza-nigahi mein ajab jadu hai

    rang tabdil kare chashm-e-nagin us ke sath

    dur aakash pe raushan rahe husn-e-mahtab

    apni 'raKHshanda' munawwar hai jabin us ke sath

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now