aasmanon se aae hue nur the rashk-e-mahtab the
āsmānoñ se aa.e hue nuur the rashk-e-mahtāb the
vo to bāġh-e-vafā ke ajab phuul the ḳhushbu-e-ḳhvāb the
maiñ ne dekhā sunā husn kā vāqi.a jab paḌhā to kahā
vo kitāb-e-mohabbat kī āyāt the ishq kā baab the
un daraḳhtoñ ke pīchhe kahīñ maiñ bhī thā ik shagūfa khilā
kuchh parinde shanāsā tabī.at ke the jo ki nāyāb the
pattī pattī kī sūrat the bikhre hue gul hasīñ baaġh ke
surḳh āñdhī chalī hijr lāhaq huā phir bhī shādāb the
dard se māvarā ishq kā kārvāñ shauq-e-'manzar' rahā
husn hairat meñ hai shal hue hī nahīñ kaise a.asāb the
aasmanon se aae hue nur the rashk-e-mahtab the
wo to bagh-e-wafa ke ajab phul the KHushbu-e-KHwab the
main ne dekha suna husn ka waqia jab paDha to kaha
wo kitab-e-mohabbat ki aayat the ishq ka bab the
un daraKHton ke pichhe kahin main bhi tha ek shagufa khila
kuchh parinde shanasa tabiat ke the jo ki nayab the
patti patti ki surat the bikhre hue gul hasin bagh ke
surKH aandhi chali hijr lahaq hua phir bhi shadab the
dard se mawara ishq ka karwan shauq-e-'manzar' raha
husn hairat mein hai shal hue hi nahin kaise aasab the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.