aata hai tegh hath mein wo jang-ju liye
aatā hai teġh haath meñ vo jañg-jū liye
jaatā huuñ maiñ bhī sar ke ta.iiñ rū-ba-rū liye
gulzār yak-ba-yak jo mahakne lagā hai yuuñ
sach kah sabā tū phirtī hai yaañ kis kī bū liye
so.e kabhī na saath hamāre ḳhushī se tum
jāveñge gor meñ yahī ham aarzū liye
detā nahīñ hai chain ilāhī maiñ kyā karūñ
phirtā huuñ rāt-din dil-e-betāb kū liye
'āsif' na chhoḌ dast-e-saḳhāvat ko zīnhār
laayā hai kuchh na saath na jāvegā tū liye
aata hai tegh hath mein wo jang-ju liye
jata hun main bhi sar ke tain ru-ba-ru liye
gulzar yak-ba-yak jo mahakne laga hai yun
sach kah saba tu phirti hai yan kis ki bu liye
soe kabhi na sath hamare KHushi se tum
jawenge gor mein yahi hum aarzu liye
deta nahin hai chain ilahi main kya karun
phirta hun raat-din dil-e-betab ku liye
'asif' na chhoD dast-e-saKHawat ko zinhaar
laya hai kuchh na sath na jawega tu liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.