aata hai yahi ji mein fariyaad karun roun
aata hai yahi ji mein fariyaad karun roun
Mushafi Ghulam Hamdani
MORE BYMushafi Ghulam Hamdani
aatā hai yahī jī meñ fariyād karūñ ro.uuñ
rone hī se Tuk apnā dil shaad karūñ ro.uuñ
kis vāste baiThā hai chup itnā tū ai hamdam
kyā maiñ hī koī nauha buniyād karūñ ro.uuñ
yuuñ dil meñ guzartā hai jā kar kisī sahrā meñ
ḳhātir ko Tuk ik ġham se āzād karūñ ro.uuñ
is vāste furqat meñ jiitā mujhe rakkhā hai
ya.anī maiñ tirī sūrat jab yaad karūñ ro.uuñ
ai 'mus.hafī' aatā hai ye dil meñ ki ab maiñ bhī
rone meñ tujhe apnā ustād karūñ ro.uuñ
aata hai yahi ji mein fariyaad karun roun
rone hi se Tuk apna dil shad karun roun
kis waste baiTha hai chup itna tu ai hamdam
kya main hi koi nauha buniyaad karun roun
yun dil mein guzarta hai ja kar kisi sahra mein
KHatir ko Tuk ek gham se aazad karun roun
is waste furqat mein jita mujhe rakkha hai
yani main teri surat jab yaad karun roun
ai 'mushafi' aata hai ye dil mein ki ab main bhi
rone mein tujhe apna ustad karun roun
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(awwa) (Pg. 253)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.