aate aate jo tera nam sa rah jata hai
aate aate jo tirā naam sā rah jaatā hai
mere siine meñ vo kohrām sā rah jaatā hai
ai zamāne kī havā ab to rihā kar mujh ko
ishq ke baad bhī kuchh kaam sā rah jaatā hai
dil kī ta.amīr meñ mumkin nahīñ har shai kī shanāḳht
kuchh na kuchh to kahīñ be-nām sā rah jaatā hai
tujh se milne kī tamanna meñ bichhaḌne kā ḳhayāl
ek jazba hai jo nākām sā rah jaatā hai
kaun kahtā hai mohabbat kā safar hai āsān
kuchh na kuchh to yahāñ ilzām sā rah jaatā hai
aate aate jo tera nam sa rah jata hai
mere sine mein wo kohram sa rah jata hai
ai zamane ki hawa ab to riha kar mujh ko
ishq ke baad bhi kuchh kaam sa rah jata hai
dil ki tamir mein mumkin nahin har shai ki shanaKHt
kuchh na kuchh to kahin be-nam sa rah jata hai
tujh se milne ki tamanna mein bichhaDne ka KHayal
ek jazba hai jo nakaam sa rah jata hai
kaun kahta hai mohabbat ka safar hai aasan
kuchh na kuchh to yahan ilzam sa rah jata hai
- Book : Ishq (Pg. 41)
- Author : Moid Rasheedi
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.