aate aate kidhar gai KHushbu
aate aate kidhar ga.ī ḳhushbū
rāste meñ bikhar ga.ī ḳhushbū
us ko DhūñDūñ to ab kahāñ DhūñDūñ
ruuTh kar kis ke ghar ga.ī ḳhushbū
ek do pal rahī rafīq-e-safar
phir na jaane kidhar ga.ī ḳhushbū
qalb-tā-qalb raushnī ban kar
jism-o-jāñ meñ utar ga.ī ḳhushbū
phuul ban kar khilī vo hāthoñ meñ
aur phir ḳhud bikhar ga.ī ḳhushbū
merī sāñsoñ meñ ghar kiyā us ne
mere andar utar ga.ī ḳhushbū
aaj ehsās ho rahā hai 'ra.īs'
vaqt se pahle mar ga.ī ḳhushbū
aate aate kidhar gai KHushbu
raste mein bikhar gai KHushbu
us ko DhunDun to ab kahan DhunDun
ruTh kar kis ke ghar gai KHushbu
ek do pal rahi rafiq-e-safar
phir na jaane kidhar gai KHushbu
qalb-ta-qalb raushni ban kar
jism-o-jaan mein utar gai KHushbu
phul ban kar khili wo hathon mein
aur phir KHud bikhar gai KHushbu
meri sanson mein ghar kiya us ne
mere andar utar gai KHushbu
aaj ehsas ho raha hai 'rais'
waqt se pahle mar gai KHushbu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.