aate hain kitne KHwab tere roz-o-shab mujhe
aate haiñ kitne ḳhvāb tire roz-o-shab mujhe
vahshat sī hone lagtī hai koī ajab mujhe
tum ko maiñ gar qubūl huuñ aise hī Thiik huuñ
aatā nahīñ sañvarne kā koī bhī Dhab mujhe
zālim hai bādshah ki hai sab pe furāt band
mahsūs ho rahe haiñ sabhī sūkhe lab mujhe
bas kuchh dinoñ kī baat hai maiñ lauT ā.ūñgī
hargiz sadā na de koī pīchhe se ab mujhe
ye dekhnā hai kaun mirā is jahān meñ
yāqūb kī to āñkheñ atā kar ai rab mujhe
vo shaḳhs jab ki ab to mirī dastaras meñ hai
karnī nahīñ hai aur kisī kī talab mujhe
bāñdī kī tarah qaid huuñ us ke huzūr maiñ
vo bādshah hai aur milegā hī kab mujhe
aate hain kitne KHwab tere roz-o-shab mujhe
wahshat si hone lagti hai koi ajab mujhe
tum ko main gar qubul hun aise hi Thik hun
aata nahin sanwarne ka koi bhi Dhab mujhe
zalim hai baadshah ki hai sab pe furaat band
mahsus ho rahe hain sabhi sukhe lab mujhe
bas kuchh dinon ki baat hai main lauT aaungi
hargiz sada na de koi pichhe se ab mujhe
ye dekhna hai kaun mera is jahan mein
yaqub ki to aankhen ata kar ai rab mujhe
wo shaKHs jab ki ab to meri dastaras mein hai
karni nahin hai aur kisi ki talab mujhe
bandi ki tarah qaid hun us ke huzur main
wo baadshah hai aur milega hi kab mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.