aaTh pahar hai ye hi gham
aaTh pahar hai ye hī ġham
kaam bahut hai vaqt hai kam
faiz uThā.eñ tujh se ġhair
naaz uThā.eñ tere ham
sar ho merā chaukhaT un kī
nikle to yuuñ nikle dam
joban terā hai mai-ḳhāna
aañkh haiñ terī jām-e-jam
baḌhtā qad jo terā dekhe
uThtī qayāmat jaa.e tham
aaTh pahar hai ye hi gham
kaam bahut hai waqt hai kam
faiz uThaen tujh se ghair
naz uThaen tere hum
sar ho mera chaukhaT un ki
nikle to yun nikle dam
joban tera hai mai-KHana
aankh hain teri jam-e-jam
baDhta qad jo tera dekhe
uThti qayamat jae tham
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 220)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.