aatish-e-ishq sun jo jalta hai
ātish-e-ishq suuñ jo jaltā hai
vo sadā misl-e-sham.a galtā hai
thaam kyūñkar sakūñ vafūr-e-sarishk
bahr-e-dil ġham satī ubaltā hai
bahr-e-dil meñ hai garche gauhar-e-ashk
sadaf-e-chashm suuñ nikaltā hai
roz-e-bad kui rafīq niiñ kis kā
saaya vaqt-e-zavāl Dhaltā hai
jab suuñ raushan hai mujh suḳhan kā sham.a
rashk setīñ 'sirāj' jaltā hai
sher 'dā.ūd' kā misāl-e-ḳhār
hāsidoñ ke jigar meñ saltā hai
aatish-e-ishq sun jo jalta hai
wo sada misl-e-shama galta hai
tham kyunkar sakun wafur-e-sarishk
bahr-e-dil gham sati ubalta hai
bahr-e-dil mein hai garche gauhar-e-ashk
sadaf-e-chashm sun nikalta hai
roz-e-bad kui rafiq nin kis ka
saya waqt-e-zawal Dhalta hai
jab sun raushan hai mujh suKHan ka shama
rashk setin 'siraj' jalta hai
sher 'daud' ka misal-e-KHar
hasidon ke jigar mein salta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.