āvāra banjāre saare
sūraj chāñd sitāre saare
is chakrātī dhartī par haiñ
gardish ke to maare saare
ḳhud se jiit na paayā koī
apne aage haare saare
shabnam bādal bhaap aur aañsū
ik dariyā ke dhāre saare
ik dhartī kī kokh se paidā
dukh sāñjhī dukhiyāre saare
jo kuchh hai jholī meñ us kī
qudrat ham par vaare saare
ḳhud kahtā hai dil dīvāna
duniyā ke ġham lā re saare
bol surīle tere 'pinhāñ'
sāregāmā gā re saare
aawara banjare sare
suraj chand sitare sare
is chakraati dharti par hain
gardish ke to mare sare
KHud se jit na paya koi
apne aage haare sare
shabnam baadal bhap aur aansu
ek dariya ke dhaare sare
ek dharti ki kokh se paida
dukh sanjhi dukhiyare sare
jo kuchh hai jholi mein us ki
qudrat hum par ware sare
KHud kahta hai dil diwana
duniya ke gham la re sare
bol surile tere 'pinhan'
saregama ga re sare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.